Is post mein hum Benefits of Orange ya Malta Khane Ke Fayde pe baat kerein ge. Red Blood Orange saleh khoon paida kerta hai. Malta ke chilke, goodha(گودا), raishe(ریشے) aur beej sab tebi istmal mein ate hein. Khas ker is se jiger ki garmi door ho jati hai.
Malta Ke Khawas(خواص):
Hum Malta Khane Ke Fayde janene se pahle malta khawas jante hein. Malta mizaj ke ietbar se sard tar hai. Is mein bher poor gazaiyat or shafayi asrat majood hote hein. Malte mein 80% Masaffa pani hota hai. Jabke 20% tak ismein gooshat banane wale rogni or nashasta dar ajza ke sath sath sodium, potassium, folad aur Phosphorus bhi majood hote hein. Hiyteen ke mamle mein Qudrit ne is khandan behad nawaza hai.Ye Vitamin A, B, C aur D ke khazanon se bhara hai.
Malta Khane Ke Fayde | Benefits of Orange:
Malta apni taseer or khawas aur zaiqe ki waja se eik inthayi umda phal hia. Jise chote bare yani tamam umer ke log pasand kerte hein. Aye ab Benefits of Orange ya Malta Khane Ke Fayde ke chand ahem fayde jante hein
1. Qabz Ke Liye:
Malta eik Umda gaza hone ke sath qabz kusha phal hai.
2. Eik Mukamal Gaza:
Eik bare size ka malta Daidh roti(ڈیڑھ روٹی) ke matwazin calories ka khazana apne ander smoye howe hai.
3. Maade Ki Jumla Bimarion Ke Liye:
Ye maide mein tizabiyat or kharabi ko khatim krta hai. Aur gas ki shikayat ko khatim kerta hai.
4. Joron(جوڑوں) Ke Dard Ke Liye:
Jism mein Uric Acid Ki ziyadti ki waja se chote bare joron mein dard shoro ho jata hai. Is dard ke nateeje mein sojan ana fitri amal hai. Aisi sorat mein ye Nuskha kaar ger sabit hota hai. Sarnja(سرنجاں) shereen aur safaid zeera hum wazen lein. Ise sil(سل) ya konde mein dal ker bareek koot lein. Is Safoof Ki 3 masha se 6 masha ki maqdar dhoodh ke humrah subeh sham 2 waqat khaya kerein .
Ager kisi ko dhoodh peene mein mushkil ka samna ho to wo dhoodh wali chai istmal ker sakta hai. Dono waqat khane ke bad thori sounf mun mein daal ker zaroor chabaya kerien . Is tarah khane se hazma ki saholat hoti hai. Aur jism mein Uric Acid ki maqdar ietdal mein rahti hai.
5. Piyas Ki Shidat Ke Liye:
Malta Khane Ke Fayde mein sab se aham fayda ye hai keh malta piyas ki shidat ko kam kerta hai. Kuinke mosam e garma mein piyas ki shidat ka amal eik fitri taqaza hai. Agar ye piyas ziyada pareshani ka baes(باعث) ho to malte ki phankein(پھانکیں) Le ker in per shaker, namik aur kali marich ka bahim bana howa masala chirk ker rakh dijiye. Eik ghante ke bad inhein chun ker thora thora kha lein. Is tarah piyas ki shidat khatim ho jaye gi. Aur tabiyat mein farhat wa tazgi ka ihsas ho ga.
6. Taqwiyat Qalb wa Damag(دل و دماغ) Ke Liye:
Dil wa damag ki thakawat se nijat pane ke liye zamana qadeem se malte ka sakaish mozon qarar dia gia hai. Ye ap gher per bhi tayar ker sakte hein. Is ki tarkeeb kuch yon hai.
Malte Ka Sakawsh Banane Ka Tareeqa:
Sabe se pahle umda aur taza malta lein. In ka chilka utar ker inka rus nikal lein.
Phir ise malmal ke mote kapre se chan ker is ka godha aur chilka phaink di jiye.
Malte ka rus 4.5 kilo gram le ker is mein 3 kilo gram cheeni ghoul dein.
Jab cheni Achi tarah Ghul jaye to is mein citric Acid 80 gram shamil ker dein. Aur inhein eik bar phir malmal ke mote kapre chan lein.
Is chane howe mahlool mein 5 rati Potassium Metabisulfite Milaye..
Iske bad is mein hasib zarorat naranji(نارنجی) khane ka rang shamil ker ke achi tarah hal ker lein. Malte ka sakaish tayar ho chuka hai.
Melte ke sakaish ko saaf botlon mein bhar ker mun band ker dijiye. Ager dair tak rakhna maqsood ho to in per kark(کارک) laga ker oper moum(موم) pighla dein. Taake in ke ander hawa na ja sake.
Note:
Botlein bherte waqat in ke mun se neeche 2 3 inch inko khali rakhna chahye. Ye botlein thandi aur khushk jaga pe rekhein jayein.
Malte ke chilke ka maraba bhi banaya ja sakta hai. Mager is mein deedh month ka arsa darkar hota hai. Isi tarah iska marmalade bhi tayar kia jata hai.
Summary:
Is post mein hum ne Malta Khane Ke Fayde ya Benefits of Orange jane hein. Jin ko janene ke bad ye maloom howa keh malta ya kino vitamins aur calories ka khazana hai. Jo ke apke jism mein hone wali mukhtlif kamion or kharbion ko door karta hai.
1 thought on “Malta Khane Ke Fayde | 6 Amazing Benefits of Orange in Hindi”