10 Best Cantaloupe Benefits in Urdu Hindi | Garma Ke Fayde

Garma kamzor aur mareez afrad ke liye 1 khas tuhfa hai. Is mein Glucose ki wafar maqdar Cantaloupe Benefits ki ahmiyat ko barha deti hai. Garma ke fayde mein ye bhi shamil hai keh is ke istmal se jism se gair zaroori kimayai mawad(کیمائی مواد) kharij ho jata hai. Jo keh insani jism ko buhat si bimarion se bachata hai.

گرما کمزوراور مریض افراد کے لیے قدرت کا ایک خاص تحفہ ہے۔گرمے میں مجود گلوکوز کی وافر مقدار اس کی اہمیت کو براھا دیتی ہے۔ گرما کے کے استمعا ل سے انسان کے اندرجتنے بھی کیمائی مواد مجود ہوتے ہیں خارج ہوجاتے ہیں۔ جو کہ انسان کو مختلف بیماریوں سے محفوظ رکھتا ہے۔

Garma Ke Khawas(خواص):

Garma mizaj ke ietbar se garm tar hai. گرما مزاج کے اعتبار سے گرم تر ہے

گرما ان مریضوں یا افراد کے لیے گوہر نایاب ہےجن کے جسم کے اندر خشکی موجود ہے اور حرارت کم ہو چکی ہے

Is mein 85% pani ki maqdar hai. Baqi is min goshat banane wale Rogni Nishasta ajza shamil hein.

Jaisa Keh Potassium, Glucose, Calcium, Folad, Phosphorus, aur Vitamins A,B,C, D.

Tandrust Maida garma ko 3 ghante mein hazim ker leta hai.

10 Cantaloupe Benefits For Health | Garma Ke Fayde Jo Apko Heeran Ker Dein Ge

Cantaloupe Benefits, Garma Ke Fayde
Cantaloupe Benefits

Jin afrad ke jism mein Glucose ki kami ho, garma is kami ko door ker deta hai.

Jin afrad ke hath paon mein garmi ki waja se hararat ya jaln rahti ho. Garma ke istmal se ye takleef door ho jaye gi.

Is phal ke masalsal istmal se Sozak jaisa marz bhi door ho jata hai.

Ye phal pishab awar hai, Nizam hazm ko theik kerta hai. Aur Qabz Kusha hai.

Is ke masalsal istmal se Gurday ki Pathri bhi zail ho jati hai.

Lagar(لاغر) aur khoon ki kami wale logon ke liye ye qudrat ka eik khas tuhfa hai.

Ye mofeed phal safra ko khatm kerta hai. Ye bimari jism mein garmi aur khuski ki waja se hoti hai.

Isi trah ye imraz Qalb ke liye eik masalma dawa aur ghaza hai.

High Blood Pressure mein garma ka istmal drust samjha jata hai.

Garma ke istmal se jism mein majood kimayi ajza kharij ho jate hein. Jo keh apko kayi qism ki bimarion se bachata hai.

Garma fruit benefits in Urdu

مدافعتی نظام(قوت مدافعت)کو مضبوط کرتا ہے
دل کی صحت کے لیے مفید ہے
کینسر سے روکتا ہے
جسم میں تنائوکا مقابلہ کرتا ہے
آنکھ کی صحت کے لیے اچھا ہے
ذیابیطس کی وجہ سے جوگردے کی بیماریاں پیدا ہو جاتی ہیں ان کو روکتا ہے

پھیپھڑوں کے لئے فائدہ مند ہے
بے خوابی کا علاج ہے
ماہواری کے مسائل کے علاج میں مدد کرتا ہے
وزن میں کمی میں مدد کرتا ہے
تمباکو نوشی سے چھٹکارا حاصل کرنے میں مدد دیتا ہے
حاملہ خواتین کے لئے فائدہ مند
گرما کے بیجوں میں بھی شفائی اجزا موجود ہو تے ہی
ں

دانت میں درد کو ختم کرکرتا ہے
گرما کی چائے بھی شفاء بخش ہے
گھینٹھیا کے علاج میں مدد کر تا ہے
عمل انہضام کو فروغ دیتا ہ
ے

جلد کے لیے فائدہ مند ہے
ہائیڈریٹ اور جلد کو دوبارہ زندہ کرتا ہے
جلد کی تخلیق نو کرتا ہے
ایکزیما اور جلد کی دیگر پریشانیوں کا علاج
بالوں کے جھڑنے کا مقابلہ کرتا ہے
مکمل کنڈیشنر ہ
ے

Khafqan Ke Liye:

Jab hum Cantaloupe Benefits ko jan rehe hein. To humein ye jan ker herani ho gi keh garma khafqan ke marz mein inthayi mofeed hai. Khafqan ke marz mein dil zor zor se dharkta hai. Aur seena phatta(پھٹتا) howa mehsoos hota hai. Baat baat pe dil ki dharknein beqabo ho jati hein.

Aise mareez ko garma ka ziyada istmal karana is ke liye mofeed sabit hota hai. Eik month masalsal istmal se ye marz khatm ho jata hai. Is marz mein garma kali mirch aur namak ke bagair istmal kerna chahye.

Gurdon Ke Liye:

Jis tarah shahid ka sharbat gurdon ke liye shafa ki hasiyat rakhta hai. Isi tarah garma gurdon ko dho ker ihein taqwiyat deta hai. Is ke alwa Gurde ke Zakhim, Warim(ورم), Kharash aur gurdon ki Pathri mein bhi mofeed sabit hota hai.

Ager gurday ki pathri wale mareez is phal ko masalsal istmal kerein to na sirf pathri khud bakhud khatim ho jaye gi. Balke mazeed banene se bhi roke gi.

Peshab(Urine) Ki Bandish Ke Liye:

Ager kisi ko peshab ki bandish ka samna ho ya peshab ruk ruk ker ata ho. Ya peshab kerne ke baad peshab qatra qatra tapke to aisi sorat mein garma ka istmal be had mofeed hai. Baaz mareezon ko peshab tail(تیل) ki manand ata hai. Aur peshab kerte waqat inhein shadid jaln ka samna kerna parta hai. Aise log garma ka istmal kerein aur iski afadiyat se fayda uthaein.

Isi tarah ye phal Sozak ke marz mein bhi lasani dawa ka darja rakhta hai. Sozak ka bar bar hona ya is ke bad asrat peshab ki nali mein zakhim, iski kharash aur peshab ke baad sozak ki maade(مادے) ka niklna. Ye tamam alamaat garma ke istmal ke baad azkhud khatim ho jati hein.

Bekhawabi Ke Liye:

Neind na ana ya ziyda dair tak pur sakoon na so sakna ajkal ki aam bimarian hein. Aj ke pur ashoob, pareshanion se bharpoor aur masroof doar mein har shaks neined ki asal lazat se mehroom hai. Neined ki kami, bekhawabi aur neined ke liye nasha awar adwaya ki mahtaji aam hai.

Is ke maqable mein ager in masail ke liye garma ka istmal kia jaye to ye sab masail hal ho jaein ge. Ye phal ka phal hai aur dawa ki dawa bhi. Is liye garama ka istmal kerein aur khoob neined lein.

Jiger Ki Garmi Ke Liye:

Cantaloupe Benefits mein se sab se ziyada fayde wali jo cheez hai, wo garma ka jiger ki garmi ko door kerna hai . Jo log jiger ki garmi ya kharabi mein mubtla hon, unki ankhon ke gird sia(سیاہ) halqe par jate hein. Jon jon ye marz bharta jata hai, isi manasbat se halqon ka rang mazeed sia aur inka daira wasie(وسیع) hota jata hai.

Khawateen mein Aisa marz inke qudarti husn ko kha jata hai. Wo badnama aur chirail(چڑیل) si dikhayi deti hein. Aise mein ager ye afrad garma baqaidgi se istmal kerein. To in ke chihre se ye bhada pan door ho jaye ga.

Ant Ki Sozish Ke Liye:

Akser wa baishter bazari khano ke bayes anton mein jaln ya sozish ki takleef shoro ho jati hai. Aise mein ager in ashab ko manasib dawa ke sath garma istmal kerwaya jaye to marz jald door ho jaye ga. Isi tarha maide ke alser mein bhi garma inhi fawaid ka haml hai.

Yarqan Ke Liye:

Cantaloupe Benefits mein se Sab se akhir mein hum jis pe baat keren lage hein, wo hai yarqan . Garma yarqan aur iske baad ke asrat ko zail kerne ki quwat rakhta hai. Ager yarqan ke khatme ke baad muun ka zaiqa har waqat kharab rahta ho, har waqat piyas mehsoos ho. To aisi kafiyat mein garma akseer aur majarib phal hai.

Note:

Eik baat jo yahan kahna zaroori hai. Keh dawa ke hamrah gazayi parhaiz rakhna bimari ke khatme ke liye be had zaroori hai. Ager gaza ka parhaiz na kia jaye to marz mein afaqa namumken hai.

Summary:

Cantaloupe Benefits ya Garma ke fayde ko mashriq(مشرق) ho ya magrib(مغرب) inkar nehein ker sakta. Kuinke garma na sirf insani jism ko mukhtlif bimarin se bachata hai. Balke pahle se marz mein mubla mareezon ko apni marz se nijat hasil kerne mein maded deta hai.

(Visited 97 times, 1 visits today)
“Share your knowledge. It is a way to achieve immortality.”