Kidney Stones Treatment in Urdu | Gurday ki Pathri Ka Ilaj

Kidney Stones Treatment ya gurday ki pathri ka ilaj kerwane ki tab zarorat parti hai. Jab gurday hamaray jism se fazal ashia aur fazal patle maade pishab ke zariye nikalne. Aur hamaray jism mein kimayi tawzan ko barqrar rkhne mein nakam ya fail ho jaye. Yehi waja hoti hai keh gurdey mein pathri paida ho jati hai. Iski waja hamara jadeed tarz zindagi hai.

Jis ki waja se galat khorak aur hawa, pani, matti mein zahreele maade shamil hone se gurday mein pathri ke amkan barh jate hein. Gurday mein pathri ka saeez chota bhi aur grapefruit ya eik tennis ball jirna bara bhi ho sakta hai. Gurday mein chote saeez ki pathri to pishab ki zariye nikle sakti hai. Leken bare saeez ki pathri pishab ka rasta roak sakti hai, jis se gurday mein shadeed dard ka samna kerna parta hai.

Symptoms and Signs of a Kidney Stones | Gurday ki Pathri ki Alamat

Gurday ki pathri shadeed dard ka bayes(باعث) sakti hai. Pathri ki alamat tab tak zahir nehi ho saktein jab tak pathri ureters mein neeche tak na jaye. Is shadeed dard ko renal colic kahte hein. Apko kamer ya pait mein eik tarf dard ho sakti hai.

Renal colic ka dard kabhi kam ho jata hai kabhi shadeed. Is dard mein mubtla log buhat bechain rahte hein. Gurday ki pathri aur bhi alamaat hein jo darjzail hein.

Pishab mein khoon(سرخ، گلابی،بھورا پیشاب) ana

kah(قے) ana

matli(متلی) ana

Be rang ya badbodar pishab ana

Sardi ka lagna

bukhar ka ana

Jab ye alamaat zahir honi shoro ho jaein to samj jaein keh apko Kidney Stones Treatment ya Gurday ki pathri ka ilaj karwana zarori hai.

Gurday ki Pathri Hone ki wajohaat | Causes of Kidney Stones

Gurday ki pathri 20 se 50 sal ke umer ke logon mein hone ke ziyada imkan hote hein. Kidney stones hone ki mukhtlif wajohaat ho sakti hai. Mukhtlif institute ki tahqeeq ke matabik or aam moshahde mein bhi ye baat samne ayi hai. Keh aurton ke maqable mein mardon ye marz ziayda payi jati hai. Is ke sath sath apke khandan ki tareekh nhi waja ban sakti hai. Yani ager apke khandan mein kisi ko gurday ki pathri hai to apko bhi hone ke chance bhar jate hein.

Aur bhi wajohaat ho sakti hein jo darjazail(درج ذیل) hein.

Pani ki kami

Motapa(موٹاپا)

Protein, namak ya glucose ki ziayda maqdar wali khorak

gastric bypass surgery

Anton ki sozash ki bimarian

Aisi dawian istmal kerne se jaisa keh triamterene diuretics, antiseizure drugs, and calcium-based antacids.

Jab in mein se kisi bhi waja se gurday ki pathri paida ho jaye to Kidney Stones Treatment kerwana zarori hai.

Home Remedies for Kidney Stones Treatment

Kidney Stones Treatment in Urdu, Gurday Ki pathri ka ilaj
Kidney Stones Treatment

Dard se nijaat hasil kerne ke liye Kidney Stones Treatment | Gurday ki pathri ka ilaj kis bhi masnand aur trusted Maher Tabib ya doctor ke zariye kerwana zarori hai.

Tahim is post mein hum Kidney Stones Treatment | Gurday ki pathri ka ilaj ke hawale maher Tabib aur sadion purane gherelo nuskhe(Home Remedies) bataye jaein ge. Jo keh na sirf azmoda hein, Balke is tareeka ilaj se jism mein koi manfi asrat nhein parte aur is bimari se nijat bhi hasil ho jati hai. Aye ab in remedies ko jante hein.

Pani Ke Zariye Se:

Pani eik qudrat ka is kaynaat ke liye anmol tuhfa hai. Jo keh na sirf insano ki bunadizarorat hai balke pori kaynaat ki. Jis tarah pani kam peene ki waja gurday ki pathri ho jati hai. Isi tarah agar hum pani ka ziyada istmal kerein to jo chote saeez mein hongi wo pishab ke raste se nikle jayein gi. Is ke liye ap masal pani ka ziyada se ziyada istmal kerein.

Gurday Ki Dard Se Nijaat Hasil Kerne Liye Piyaz Ka Istmal:

Piyaz antioxidant ki khasosiyaat ka hamil hota hai. Jo keh mazeed gurday ki pathri ko bharne se rokta hai. Is ke liye 2 ya 3 chote piyaz 1 glass pani mein 15 mint tak pakaein. Aur is ke baad pani ko chaan ker alaihda ker lein. Baki pani mein cheeni dalker din mein 3 dafa istmal kerein. Allah Tala ne chaha to dard se aram mil jaye ga aur pathri raiza raiza ker nikle jaye gi.

Leemo Ke Rus Aur Zaitoon Ke Tail Ka Istmal:

Leemo ke rus mein citric acid hota hai jo pathri ko tahleel kerne mein madad deta hai. Aur Zaitoon ka tail(Olive Oil) chikna kerne wale maade paida kerta hai. Is tarh ye dono milker gurday ki pathri ko zarar zara ker ke nikal mein madad kerte hein.

1/4 cup leemo ka rus aur itna hi zaitoon ka tail le lein. Is ke baad kam ez kam 240 mili liter pani istmal kerein. Aur ye nuskha 2 se 3 martba istmal kerein. In Sha Allah Gurday ki pathri se nijaat hasil ho jaye gi.

Nariyal Ke Pani Ka Istemal:

Gurday ki pathri se nijat hasil kerne ke liye nariyal ke pani ka istmal sadion se kiya jaraha hai. Is ne gurday ki pathri ko torne aur jism se nikalne aur dard se nijaat hasil kerne mein ahm nitaij dekhaye hein.

Garma Phal Ka Istmal:

Ager Gurday ki pathri wale mareez is phal ko masalsal istmal kerein to na sirf pathri khud bakhud khatim ho jaye gi. Balke mazeed banene se bhi roke gi. Balkeh jis tarah shahid ka sharbat gurdon ke liye shafa ki hasiyat rakhta hai. Isi tarah garma gurdon ko dho ker ihein taqwiyat deta hai. Is ke alwa Gurde ke Zakhim, Warim(ورم), Kharash aur gurdon ki Pathri mein bhi mofeed sabit hota hai.

Disclaimer:

This post cannot and does not contain medical/health advice. The medical/health information is provided for general information and educational purpose only and is not a substitute for professional advice. Accordingly, before taking any action based upon such information, We encourage you to consult with the appropriate professionals. We cannot provide any medical/health advice. THE USE OR RELIANCE OF ANY INFORMATION CONTAINED ON THE POST IS SOLELY AT YOUR OWN RISK.

Summary:

Qudrat ne jitni bhi bimarein paida ki hein unke ilaj ke liye jari botian or deeger ashai bhi zameen per utari hein. Jin ke zariye ap apni bimarion ka ilaj ker sakte hein. Isi tarha ap Kidney Stones Treatment ya gurday ki pathri ka ilaj bhi easly ker sakte hein. Wo bhi ba asani apne ird gird majood cheezon aur pahlon aur jari botion ke zariye se. Bus zara si mihanat aur tasalsul ki zarorat hoti. Aur ap apni bimari se nijat hasil ker lete hein.

(Visited 32 times, 1 visits today)
“Share your knowledge. It is a way to achieve immortality.”