Treatment of Knee Pain in Urdu Hindi | Ghutno Ke Dard ka Ilaj

Hum ba asani gaza ke zariye se Treatment of Knee Pain ya ghutno ke dard ka ilaj ya dard kam ker sakte hein. Ye dard ziyada bari umar ke logon paya jata. Leken ajkal nojawano mein bhi kasrat se paya jata hai. Jis ki waja wazen ka barhna ya khelon mein masroofiyat ho sakti hein. Shoro shoro mein ye dard halka phulka hota hai. Leken barhte barhte na qabil bardasht ho jata hai. Tab ghutno ke dard ya Knee Pain ka ilaj karwana intahayi zarori ho jata hai. jo keh gaza ke zariye mumkin hai.

Ghutno Ke Dard Ki Wajohaat | Knee Pain Causes:

Ghutno ke dard ki kayi wajohaat ho sakti hein. Jin ki waja se humein ye dard ka samna karna par sakta hai. Aye jante hein keh wo kon si wajohaat (Knee Pain Causes) hein jin ki waja se ye dard hota hai. Agar in wajohaat ke zariye ghutno ke dard ya Knee Pain ho jay to Treatment of Knee Pain kerna lazmi hai. Warna dard shadeed ho jaye ga, jis ki waja se chlane pherne or uthne baithne mien bari mushkal hoti hai.

  • Aisi gazaon ka istmal jin se ghutno ka dard ya Knee Pain bharta hai.
  • Ghutno ko buhat ziyada morna.
  • Vitamin E ki kami.
  • Dhoodh ya chiknayi wali ashia kam istmal.
  • Seerian(سیڑاں) charne mein ya khelne kodhne mein be ehtiati.

Treatment of Knee Pain | Ghutno Ke Dard ka Ilaj:

Ghutno Ke Dard ka Ilaj ya Treatment of Knee Pain gaza ke zariye ba asani kia ja sakta hai. Bus eik schedule aur tasalsul ki zarrorat hoti hai. In gazaon ke istmal se is dard ko kam ya khatim kia ja sakta hai, kisi bhi maher gazayi tabib ke mashwre ke sath.

Treatment of Knee Pain, Ghutno Ke Dard ka Ilaj
Treatment of Knee Pain

Machli(Fish) Ke Zariye:

Ghutne ke dard ya Knee Pain mein mubtla shaks ko chahye ko chikni ya rogni machli khani chahye. Jaisa keh sardines, mackerel, millet and tuna fish. Machlion mein Omega 3 fatty acids majood hote hein.

Omega 3 fatty acids mein kayi PHA aur DHA hote hein. Ye kimayi maade ghutne ke narm haddi(ہڈی) ki sozash aur dard ko kam kerne mein maded dete hein. Eik hafte mein 2 ya 3 din machli ka istmal kerein.

Adrak Ka Istmal:

Ghutno ke arthritis mein mubtla afrad ko adrak ka istmal kerna chahye. Adrak ghutno ki sozash khatim kerta hia jis se ghutno ke dard ya Knee Pain mein kami aur sojan mein kami ho gi. Khushk adrak yani sundh ke istma se bhi is dard ko kam kia ja sakta hai

Adrak ke kahve(قہوے) ka din 2 ya 3 bar istmal kerna chahye. Is ke sath sath adrak, lahsen,podeena aur anar dana (ہم وزن لے کر)ki chatni bana ker har khane sath istmal kerein. Is se dard ke ilwa aur bhi jism ki buhat si bimarion se nijaat hasil ker sakte hein.

Palak Sabzi ka Istmal:

Palak mein eik khas juzw Zeaxanthin aur Lutein jaise Antioxidants, ghutne ke Osteoporosis se tahafuz farahim kerte hein. Is Palak ko kayi ghanton tak pakane ki galti na kerein. Palak ko blanch ker ke goshat ya chicken mein daal ker 7 mint tak dum de ker pakaein. Is tarika se na sirf palak laziz balke gazaiyat se bharpoor ho gi. Ager palak ka jiuce bana ker pia jaye to sab se ziyada mofeed hai.

Phalon Ke Zariye:

Vitamine C joron mein toot phoot ke amal ko kam kerta hai. Tamam Citrus phal, jaisa keh Malta, Mosammi, Grapefruit, Papeete, kiwifruit aur Aam khane chahein. Jis se joro aur ghutno ke dardya Knee Pain ko kam kerne ke sath sath qabz ko door kerne mein maded dete hein.

Joron(جوڑوں) Ke Dard Ke Liye: Bonus Nuskha

Jism mein Uric Acid Ki ziyadti ki waja se chote bare joron mein dard shoro ho jata hai. Is dard ke nateeje mein sojan ana fitri amal hai. Aisi sorat mein ye Nuskha kaar ger sabit hota hai. Sarnja(سرنجاں) shereen aur safaid zeera hum wazen lein. Ise sil(سل) ya konde mein dal ker bareek koot lein. Is Safoof Ki 3 masha se 6 masha ki maqdar dhoodh ke humrah subeh sham 2 waqat khaya kerein .

Ager kisi ko dhoodh peene mein mushkil ka samna ho to wo dhoodh wali chai istmal ker sakta hai. Dono waqat khane ke bad thori sounf mun mein daal ker zaroor chabaya kerien . Is tarah khane se hazma ki saholat hoti hai. Aur jism mein Uric Acid ki maqdar ietdal mein rahti hai.

Disclaimer:

This post cannot and does not contain medical/health advice. The medical/health information is provided for general information and educational purpose only and is not a substitute for professional advice. Accordingly, before taking any action based upon such information, We encourage you to consult with the appropriate professionals. We cannot provide any medical/health advice. THE USE OR RELIANCE OF ANY INFORMATION CONTAINED ON THE POST IS SOLELY AT YOUR OWN RISK.

Summary:

Mukhtlif sabzion, phalon aur gazaon ke zariye se hum ba asani Treatment of Knee Pain ya ghutno ke dard ka ilaj ker sakte hein. Ye dard ki waja chahye koi bhi ho. Bus humein in gazaon ke istmal kerte waqat eik tasalsul ki zarorat hai. Is ke alawa aur bhi jari bootein hein jin ke zariye hum Knee Pain kam ker sakte hien jin ki detail hum kisi ane post mein zaror rakh dein ge.

(Visited 23 times, 1 visits today)
“Share your knowledge. It is a way to achieve immortality.”