Qabz eik aam(common) bimari hai. Shaid isi liye log Constipation symptoms jan ker bhi ise serious nhein lete. Jitni ye bimari aam hai, utni hi ye khatarnaak hai. Jis ka nanteeja kayi kism ki muhlik bimarein paida ho jati hein. Is liye sab se pahle Constipation Symptoms janena aur phir Treatment kerwana zarori hai. Kuinke Qabz ko tamam bimarion ki maan(ماں) kaha jata hai. Is liye Qabz ki Alamat deekhte howe Qabz ka Ilaj kerna chahye.
Warna jiger ki kharabi, Surkh zaraat ki toot phoot, Hafiza ki kamzori, Tabiyat mein susti aur bawaseer jaise khaternaak bimarian janam le sakti hein. Qabz ka sab se bara sabab hamri gazaein aur galat tarz e zindagi hai.
Constipation Symptoms | Qabz ki Alamat:
Jab kisi bhi shaks ko qabz ka marz lahek ho jaye to mukhtlif Constipation Symptoms ya qabz ki alamat zahir hona shoro ho jati hein. jo ke mander ja zail(مندرجہ ذیل) hein۔
- Pakhana ka rozana ki buniad per na kharij hona yaani 2 ya 3 din ke bad ana
- apka pakhana khushik aur sakhat ya ganth ki soorat mein ana
- Pait mein dard ya har waqat phalawat mehsoos hona
- Bawaseer ka ho jana
- Ya pakhana ka din 2 ya 3 dafa thora tthora ker ke ana
- Mun se har waqat badbu aur nalion mein jalan ka rehna
Constipation Causes | Qabz ki wajohaat:
Jab apko qabz ho jati hai aur qabz ki Alamat zahir hona shoro ho jati hein. To saaf zahir hai keh Constipation causes ya qabz ki wajohaat majood hoti hein. Jis ki waja se Qabz ka marz laheq hota hai.
To humein Constipation causes ko pihchan lena zarori hai. Kuinke inhein ki base pe Treatment of Constipation ya qabz ka ilaj bihter andaz mein ho sakta hai. To aye jante hein keh Constipation causes ya qabz ki wajohaat kia hein.
- Sab se bari waja to Hamri ajkal ki gazaein aur tarz e zindagi hai.
- Maade ki bani hoi cheezon ka khane mein ziyda istmal, jaisa keh Naan, Kulche aur maade ki roti wagaira
- Aisi gazaein jin ratoobat kam ho wobhi Qabz ka sabab ban jati hein
- Anton ke ander eik qisam kisam ki harkat hoti hai. Jab ye harkat susat ho jaye to bhi qabz ho jati hai.
- Gurdon ke Raste jismani ratobton ka ziayda kharij ho jana, Qeh(قے) ki ziaydti se bhi qabz ho jati hai.
- Is ke ilawa Bawaseer, Anton ki sozash aur Motapa bhi bayes ban jata hai.
In ke ilawa aur bhi Qabz ki Wajoohat ya constipation causes ho sakti hein. Jis bhi waja se ager qabz ho jaye to Constipation Symptoms jan ker Treatment of Constipation zaror kerna chahye.
Treatment of Constipation | Qabz ka Ilaj:
Qabz hone ke sorat mein Treatment of Constipation ya Qabz ka ilaj kerna zarori hai. Jaisa keh pahle bataya ja chuka hai keh qabz ko umul amraz(بیماریوں کی ماں) kaha jata hai. Kuinke is ki waja buhat hi muhlak bimarian paida kerti hai. Jaisa keh jiger ki kharabi, Surkh zaraat ki toot phoot, Hafiza ki kamzori, Tabiyat mein susti aur bawaseer.
Hum Qabz ka Ilaj ba asani apne ird gird majood gazaon se ker sakte hein. Aur apni tarz e zindagi mein bhi thori tabdeeli ke zariye aur aisi gazaon ke masalsal istmal se jin se qabz ko khatim kerne mein maded milti hai.
Phalon Ke zariye se:
Hum Phalon ke zariye se Constipation Symptoms jan ker Treatment of Constipation ker sakte hein. aye jante hein keh wo kon se phal hein jin ke zariye se kabz ka ilaj ho sakta hai.
Garma ke Phal ke Zariye:
Is mein 85% pani ki maqdar hai. Baqi is min goshat banane wale Rogni Nishasta ajza shamil hein. Aur garma ka phal pishab awar hai, Nizam hazm ko theik kerta hai. Aur Qabz Kusha hai.
Khajoor Ke Zariye:
Qabz ke marz ki shikayat rakhne wale afrad ke liye ye nuskha hai. Keh wo subah nashte ke toar per 3 se 11 daane khajoor kha ker pani ya chai pi lia jaye. is se unki Qabz rafa ho jaye gi.
Anjeer Ke Zariye:
Qabz ke marz mein Anjeer behad sood mand hai. Jin logon ko is marz ki shikayat laheq ho. Wo bath room mein ja ker bath jate hon aur ajabet na hoti ho. Adwiyat khane ke bawajood aram na ata ho.
Unko chahye ke wo pabandi se anjeer istmal kia kerein. Is amel se unki babz rafta rafta khatim ho jaye gi. Aur tabiyat mein itminan ho ga. Apni tabyiat aor mizaj ke matabik wo 5 se 6 dane rozana istmal ker sakte hein.
Amrud ke Zariye:
Ye phal kabz kusha hone ki vajah se iska istemal gas aur tabkheer ki bimariyon mein main nafa bhakhsh hia. Is ke liye amrud ko khane ke bad namak aur kali mirch chirek ker istmal kerna chahye.
Aam Ke Zariye:
Sherein Aam kabz kusha hota hai. Sard mezaaj ke hamal shakhes ke liye nahat muwafiq hai. Aam ka sherein ras husbe zarurat hasil Karen aur Raat Ke waqt aadha kilo dudh ke sath istemal karen. Is se aapki darina kabz ka khatma ho jaega ga. Yad rakhiye is nuskhe ka istemal raat khane ke bad karna chahye.
Aloo Bukhara ke Zariye:
Agar Kisi ko shadeed kabz ka samna ho aur Aloo Bukhara ka mausam na ho. Yani taaza phal dastiyab na ho to wo 7 ya 8 Khushk Aloo Bukhare ke daane raat ko Pani mein bhigo kar rakh dein. Subah uthkar ise Pani mein acchi tarah masal kar wo pani chan kar pee lein.Is se Qabz door ho jayegi. Bhookh ki shidat mein azafa hoga aur Jigar afal(افعال) bhi drust ho jaein ge.
Leemo Ka Rus Ke Zariye:
Leemo ka rus nikal ker neem garm pani ke sath istmal kia jaye to kabz se afaqa ho jaye ga. Is ke liye 12 gram leemo ka rus aur 12 gram shaker 1 glass pani mein mila ker raat ko sote waqat istmal kia jaye. To is se perani se perani qabz ka ilaj ho jaye ga In Sha Allah.
Exercise And Daily Routine:
Subah uth ker rozan 2 se 3 glass garm pani ke istmal se qabz ka ilaj kia ja sakta hai.
Aur subah uth ker 3 kilo meter paidel chalna Qabz ka bihtreen ilaj hai.
Maswak ke zariye yahn pe daanton ka ilaj kia jata wohein pe maswak kerne se Qabz ka ilaj bhi mumkin hai.
Khana khane ke doran neem garm pani peene se bhi Qabz Ka Ilaj kia ja sakta hai.
Disclaimer:
Disclaimer:This post cannot and does not contain medical/health advice. The medical/health information is provided for general information and educational purpose only and is not a substitute for professional advice. Accordingly, before taking any action based upon such information, We encourage you to consult with the appropriate professionals. We cannot provide any medical/health advice. THE USE OR RELIANCE OF ANY INFORMATION CONTAINED ON THE POST IS SOLELY AT YOUR OWN RISK.
Note:
Is post mein koi bhi tibi ya sihat ke hawale se maheraana mashwra nehi hai. Tib aur sihat ke hawale se malomaat sirf amoomi malomaat aur taleemi lihaz se di jati hein. Aur ye peesha warana mashwre ka matbadal nehein hein. In malomaat ki buniad per amal kerne se pahle kis bhi maher tabib ya Docter se mashwra zaror ker lein.
Summary:
Qabz eik Inthayi khater naak Bimari hai. Leken log is ziayda serous nehein lete aur Constipation Symptoms zaher hone per bhi tawajo nehein dete. Jis ke niteeje mein mazeed muhlik bimarion ko gale laga lete hein. Jab bhi ap mein Qabz Ki Alamat ys Constipation symptoms zahi ho jaein to foran Qabz Ka Ilaj Ya Treament Of Contipation kerwana chahye.
1 thought on “Constipation Symptoms And Treatment | Qabz Ki Alamat Aur Ilaj”