Aaro ke fayde ya Peach Benefits ki ahmiyat ka andaza is baat se laga sakte hein. Keh Atba(اطباء) is phal ke mataleq kehte hein keh wo phal sab se umda hota hia jis ki ghuthli goode se ba asani alahda ho jaye. Maede wa jiger ki garmi ko khatim ker ke ietdal pe laata hia aor piyas ki shidat ko kam kerta hia.
Ager ap Aaro Ke Fayde Se bihtar andaz mein fayda uthana chahte hein to apko aaro ke mizaj aur khawas ko jan lena zarori hai. Aye kuch nazar aaro ke khawas aur mizaj per nazar daalte hein.
Aaro Ke Khawas:
Aaro ka mizaaj dosre darje mein sard tar hia. Garm tabiyat walon ke leye ye phal mufeed tareen hia. Ye khon ki ragoon mein sakhti ko door ker ke high blood pressure symptoms ko ietdal per lata hia. Qabiz kusha hone ki waja se ye phal zahreele fasid maade ko jism se kharij kerta hia. pait ke chote baare keere marta hia aor ainda ke leye un ki mazeed afzaish ko rookta hia.
Ye phal garmi ke bukhar ke lye bhi mufeed hia. Bukhar ki halit mein meetha phal khane se foori tour per bashashat (cheerfulness) ati hai. Aaro khane se piays ki shidat kam ho jati hai. Aye ab Aaro Ke Fayde ya Peach Benefits ko mazeed tafseel se jante hein.
Peach Benefits | Aaro Ke Fayde:
Deekhein ye jan lina buhat hi zarori hai keh kon si halat mein Aaro ka istmal kerna zarori hai. Aur Aaro phal kon kon si cheezein kon si bimari ke liye istmal ker sakte hein. Jab ap Aaro Ke Fayde ka matalia kerein ge to ap janein ge. Keh is phal ki insani sihat ke liye kitni ahmiyat hai.
Aaro eik Qabz kusha phal hai. Yonani Tabib is Phal ko khansi ke ilaj ke liye bhi istmal kerte hein. Aaro ke fayde mein ye fayda sab se hairat angeez hai. Keh ye phal Maqawi e Maada, Maqawi e Jiger, Josh e Khon ko eitdal mein lane wala phal hai. Aye kuch aur inthayi aham Aaro ke fayde jante hein zara tafseel se.
Moun Ki Badbu Ke Leye:
Maede ki kharabi ki waja se akser moun mein badbu paida ho jati hia. Aise mein khana khane se 2 ya 1 ghanta pahle aadha pao Aaro namak laga ker khaein, moun ki badbu door ho jaye gi. Khana khane ke bad Aaro hargiz na khaein.
Karmshikem Ke Leye (pait ke keeron ke leye):
Ager bachon ke pait mein keere hein to inhein ziyada se ziyda Aaro khilein, is se pait ke keere khatim ho jein ge.
Maede Ki Tezabiyat Ke Keye:
Jin logon ke maede mein tezabiyat rhti hia wo is phal se faida utha sakte hein. Aise mein khana khane se 2 ya 1 ghanta pahle 2 Aaro kha leye jaein to maede ki tezabiyat door ho jaye gi or maede ki garmi bhi chand din ke masalsal istmal se door ki ja skti hia.
Photoon, Phinsoun or Allergy Ke Leye:
Ghaza ki beqaidgi se akser jiger mein garmi ho jati hia jis se allergi ho jati hia. Is se jism mein phore or phinsian nikal ate hein. Ya phr jisam pe surkh rangat ke dhabhe ban jate hein. Aise mein Aaro ka istmal behad mufeed hia. chilka utar ker hargiz na khein.
Kaan(کان) Ke Dard Ke Liye:
Aaro Ki ghutli ka tail kaan ke dard aur behre pan(بہرے پن) ke liye be had mofeed hai. Iska rogan khud hi niklwana chahye. Kiunke bazar ke rogan mein akser malawat ki jati hai.
Iske tail ko neem garm ker ke chand qatre kaan mein raat ko sote waqat daalein. Chand din ke istmal ke bad kaan ki tamam takaleef door ho jaein gi.
Haiz Ke Masail(حیض کے مسا ئل) Ke Liye:
Ager kisi khatoon ke ayaam(ایام) mein mahwari mein koi nukas ho ya haiz ruk ruk ker ati ho, Period mein kafi waqfa par gia ho. To aise mein Aaro ke darakhat se taaza konplein tor ker khaye. Ruka howa haiz foran jari(جاری) ho jaye ga. Ager Taza konplein mayaser na ho to pansari se khusk konplein le ker unhein pees ker pani ke hamrah phank le.
Din Bhar Ki Mushaqat Kerne Walo Ke Liye:
Jo lod din bher dhoop mein kaam kerte hein, unki gaza ki naali mein sozash paida ho jati hai. Unke liye khana peena qadre dushwar ho jata hai. Is kafiyat mein unhein Aaro ziyda se ziyada khan chahye. Kuinke in ke liye Aaro ka istmal mofeed sabit hota hai.
Note:
Kuinke Aaro mizaj ke hawale lihaz se sard tar hai. Is liye sard mizaj wale logon ko is phal ko ziyada istmal nehein kerna chahye. Ye phal garm mizaj walon ko amoman fayda deta hai.
Summary:
Aaro garmi ke mosam insano ke liye qudarat ka eik anmol tuhafa hai. Isi liye ap jitna bhi Peach Benefits ye Aaro Ke Fayde pe likh lein kam hai. Abi mein waqat ki kami ke bayes ziyada nehin likh saka. Aaro ke fayde bachon se le ker baron tak aur mard o khawateen sab ke liye sihat bakhsh hein.
1 thought on “Aaro Ke Fayde | 7 Amazing Peach Benefits in Urdu”