Aam ke fayde ki wajah se na sirf Pakistan Hindustan bhalke puri duniya mein paya jaane wala mausam e garma ka ek maruf phal hai. Jisse bacche bure javan gareeb ameer sabhi shauq se khate hain. Kyunki yah phal kasrat se paya jata hai. Aur basani hasil ho jata hai isliye isko sab hi kha sakte hain. Mango benefits in urdu ya Aam ke fadye aur zaiqe ki vajah se ye tamam phalon mein afzal hai.
Iska zaika taseer aur shafai asrat ka hamal hone ki waja se tamam phalon mein afzal hia. Ise phalon ka badshah bhi kahate Hain. Pakka Aam garm tar hota hai. Kalmi aam jo kat kar khaya jata hai aur desi aam chousa jata hai.
10 Best Benefits Of Mango | Aam ke fayde
Aye ab Aam ke fayde per kuch mukhtser si nazar dalte hein.
1) Desi aam fayde Ke lehaz se zeyda mofeed hota.
2) Ye khoon saleh paida karta hai.
3) Maqawi Ba or badan ko mota kerta hia.
4) Hazma drust kerta hai.
5) Qabez kusha hia, maade or jiger ko taqat deta hai or pieshab awar hai.
6) Bekhawabi door kerta hai.
7) Mamooli khansi mein bi nafe hai.
8) Aam ka ras aur masavi maqdar mein shehad ka istemal agar 40 din tak lagatar kar liya jaaye. Tu koowat e ba ko hairat angaiz fayda hota hai.
9) Yah na sirf taaza khoon paida karta hai Bal ke badan mein nayi chusti per bhar deta hai.
10) Agar iske sath taza doudh ka istemal kiya jaaye to Maida ki garmi door ho jaati hai.
Aur maade ko taqwiyat milati hai. Aam ke mithe Ras mein vitamin C aur A ki maqdar ziyada hoti hai. Is liye agar ise Bator dawai istemal Kiya ja raha ho. To us waqt ki waqt ki khurak chhod Deni chahie. Ayein ab Aam ke fayde ya Mango Benefits in Urdu per tafseelan nazar dalte hein.
Mango Benefits In Urdu
Quwat e Bah(قوت باہ) Ke Liye:
Sherein Aamon ka 1 pao ras le ker is mein 1\2 chitank gaaye ka taza or khalis dhodh mila lein. Ise achi tarah hal ker lein. Is ke bad is mein 1 chamch adrek ka rus or hasab zarorat cheeni mila ker 2 month tak istmal kerein.
Jis se chehre per khoon chalkne lagta hia. Is ke ilwa ye dawa Maqqwi Ba or Madda e Toleed ke azaafe aor afzaish khoon ke leye be had mofeed akseer hia.
Dast(دست) Ke Liye:
Aam ka ek chtank taaza rus lekar ismein ek ya do tola dahi aur adrak ka rus milakar rakhlein. Ba waqt zarurat ek chammach acchi tarah hala kar mareez ko pila dein. Din mein 2 khoraken(خوراکیں) kafi hai.
Aaram na aane ki surat mein Aam ka rus ek chtankh se badhakar 10 toole bhi Kiya ja sakta hai. Is nuskhe ki madad se aap purane se purane dast ka ilaj bhi kar sakte hain. Neiz ghaza ka bagair hazam hove nikal Jana bhi khatem ho jaega.
Qabaz Ke Liye:
Sherein Aam kabz kusha hota hai. Sard mezaaj ke hamal shakhes ke liye nahat muwafiq hai. Aam ka sherein ras husbe zarurat hasil Karen aur Raat Ke waqt aadha kilo dudh ke sath istemal Karen. Is se aapki darina kabz ka khatma ho jaega ga. Yad rakhiye is nuskhe ka istemal raat khane ke bad karna chahye.
Jariyan Ke Liye:
Rozana Aam ke behtarin aur Shrein dane khane se aapki kuwat e mardi mein azafa hota hai. Khas tour per subah ke waqt in ka khana jariyan jaise marz ko door kar deta hai. Is dauran turush aur tez mirchu ka istemal tark kar dena zaruri hota hai. Hukma ka dawa hai keh is tarkeeb se 3 Pushton tak jariyan ki bimari layhak nahin hoti.
Loo Se Bachne Ke Liye:
Kache Aam le ker unhein bhoon lein. Is ke unka daba daba ker erk(عرق)ikal lein. Is rus ko mehfooz ker lein. Haseb e zarorat is mein gurr ka sharbat mila ker istmal kerein. Ye sharbat taseer ke eitbar se sard hota hia. Or khas tor per lo lagne per istmal kia jata hia jo ke fori apna aser deekhata hia.
Note:
Aam ke meethe rus mein Vitamine A aur C ki maqdar ziayda hoti hai. Is liye is ager batoar dawayi istmal kia ja rha ho. To us waqat ki baqi khurak chor deni chahye.
Summary:
Garz ye ke Aam ke fayde be baha hein. Ager ap eik achi makhsoos kism ke Aam ko masalsal pore season mein khate rehte hein. To ap apne jism mein eik khas kism ki energy mehsoos kerein ge. So Aam khein or apni zindgi ka bhar poor lutaf uthein.
Benefits of Plum Fruit janyein.
Buhat informative hai… plz keep it up