Amla Ke Fayde | 5 Amazing Amla Benefits in Urdu

Amla khoon ke leye masafi(مصفی) hai. Amla Ke Fayde mein ye bhi shamil hai, keh is ke istmal se khoon mein majood tezabiyat kam ho jati hai. Is ke pani se agar ankhein dhoo li jein to baseerat mein azafa hota hai. Ye qabiz hota hai. Ye sard khushik mezaj ki waja se ye marz e khafqan(خفقان) aor ashal(اسہال) mein mofeed sabit hota hai.

amla ka murabba ke fayde in urdu

آملہ کا مربہ صحت کے لیے خزانہ جانا جاتا ہے یہ غذائی اجزاء کا پاور ہاؤس ہے – پولی… فینولز، وٹامن سی، وٹامن اے، کیلشیم، میگنیشیم اور آئرن وغیرہ۔ آیئے آملہ کے مربہ کے کچھ فائدے جا نتے ہیں۔

آملہ کا مربہ جسم کی قوت مدافعت کو بڑھاتا ہے۔ کیونکہ اس میں کرومیم، زنک، تانبا، آئرن اور دیگر معدینیات سے بھرپور ہے۔

کیونکہ آملہ کے مربہ میں فائبر کی مقدار زیادہ ہوتی ہے، اس لیے یہ قبض کشا ہے اور معدے کے مسائل کو دور کرتا ہے۔

آملہ کا مربہ کو جوڑوں کی سوزش کے لیے بہت ہی مفید جانا جاتا ہے۔ یہ گھٹنوں یا جوڑوں کے درد سے نجات دلانے میں مدد کرتا ہے کیونکہ یہ وٹامن سی کا بھرپور ذریعہ ہے۔ اسے کچا یا مربہ کی شکل میں دن میں دو بار، خاص طور پر صبح کے وقت لینا چاہیے۔

حمل میں مدد کرتا ہے۔ جیسا کہ یہ ماں اور بچے دونوں کے لیے صحت مند سمجھا جاتا ہے، اور یہاں تک کہ ماں کے جسم میں ہارمونل تبدیلیوں کی وجہ سے بالوں کو گرنے سے روکتا ہے۔

آملہ کےمربہ میں کرومیم کی اعلی مقدار ہوتی ہے جو جسم کے لیے بہت ضروری ہیں۔ کرومیم خاص طور پر خون میں کولیسٹرول کی سطح کو برقرار رکھنے اور دل کی بیماریوں کے خطرے کو کم کرنے کی صلاحیت رکھتا ہے۔

Amla Benefits, Amla Ke Fayde
Amla Benefits

Amla Ke Khawas(خواص)

Aye Amla Benefits ya Amla Ke Fayde janene se pahle amla ke khawas jante hein. Taqwiyat e bisarat ke liye iske mugez ka salan bhi pakka kar khaya jata hai. Keh(قے) aur pyas mein arfa( ارفع)hai. Aamle ke taaza phal ki taseer sard Khushk hoti hai jo ke peshab awar aur melion(قبض کشاء) tasleem ki gai hai.

Tib ki ek mashhur katab Bhao Prakash(بھائوپرکاش) mein rakam hai ke Amla hareer(ہریڑ) ke usaaf ka hamal hai. Lekin is mein ek khas wasf ye hai ki yah kat pat کت پت yani jism ke kisi bhi hise se niklne wale khoon mein nafe(نافع) sabat hota hai.

Ye mardana quwat mein azafa aur mani ko bakasrt paida karta hai isliye ise be oladi (بےاولادی) ke liye hub (حب) bhi mana gaya hai aur ye kimiyai asar hai.

5 Amla Ke Fayde

Amla apni khobion, khawas aur faydon ke lihaz se 1 namain hasiyat rakhta hai. Jo keh insan ki beshumar bimaion ke ilaj ke liye inthayi mofeed hai. Isi lie Atba amla ko hikamat mein khas mukam dete hein. Aye ab Amla Ke Fayde ya Amla Benefits per kuch tafseel se nazar dalte hein.

1. Imraz e Chashm Ke Liye امراض چشم کے لیے

Aankhon Ke aksar amraaz mein Amla bahut mufeed sabat hota hai. Ashubh chashm, aankh ka dukhna aur surkh hona, nazar ki kamzori vagaira mein mofeed sabat hota hai.

Iske liye Amla powder le kar iske wazen ke barabar shakkar milaein. Aur phir baham mala kar is mein rogan badam mamuli makdar mein dal kar ise subah Shaam khana khane se kabal 20 gram ki miqdar mein khana mufeed sabit hota hai.

Agar taaza Amla dastiyab(دستیاب) ho jaaye to use kuchal kar iske Ras ko silai ke zariye aankhon mein lagana chahie.

2. Marz Khafkan(خفقان) Ke Liye:

Amle ka murabba jisse urf Aam mein Anole(انولے) ka murabba bhi kaha jata hai. Ise dho kare chandi ke vark mein lapet kar subah naharmau khana is marz mein mufeed hota hai. Isase kalb ko taqwiyat milti hai. Iske alawa ye murabba khafqan, dimagi kamzori aur maade ke afaal ko theek karta hai . Ye Dil ki dhadkan ko eitdal(اعتدال) per lata hai.

3. Hichki Ki Bandash Ke Liye:

Amla Benefits mein munfrid baat ye hai keh Ye phal phode(پھوڑے) phunsiyon ke liye mauser hai . Amle Ke Ras mein falfal daraz ( فلفل دراز) aur shahad ham wazan shaml karen. Is se hichki foren band ho jaati hai. Iski chhal kabiz aur khushk hoti hai.

4. Balon(بالوں) Ke Liye:

Amla Benefits mein sab se ahem fayda ye hai keh. Keh Khawateen(خواتین) Bal lambe karne aur inhen khubsurat rakhne ke liye lakh jatan karti hein. Iske liye wo mahange shampoo kharidti hain. Jo ke aksar in ke balon ko fayda dene ki bijay ulta inhen naksan punhchate hain.

Aisi khawateen ke liye amla ka roghan tajveez Kiya jata hai. Roghan Amla balon ke liye behad mufeed aur mauser paya gaya hai. Dusra iske istemal se koi nuksan bhi nahin hota hai.

Amla benefits for hair، amla juice benefits, health benefits of amla, Amla Ke Fayde

Agar sar ke bal tezi se safaid ho rahe hon. To inhein sia karne ke liye Amla, Harar(ہرڑ), Beheera(بہیڑہ) tamam ham wazan makdar mein lekar baham cout kar yak jaan kar lein.

Inhen raat ke waqt kisi lohe ki karahi ya bartan mein dalkar bhago dein. Agli subah uthkar is amaize(آمیزے) ko acchi tarah hathon se masalkar yack jaan kar lein.

Aur iska laip Apne balon ki jadon mein acchi tarah se lagaen. Dopahar ke waqt apna sar khule sada pani se dho lein. Bal is tarah se ghane aur chamakdar ho jaenge.

5. Piyas Ki Shidat Ke Liye:

Garmi Ke mausam mein Aksar logon ko pyas is(اس) kadar shadeed lagti hai ke wo pyas ke mare hampne(ہانپنے) lagte hain. Halanke wo kai bar pani peete hain.

Magar in ki pyas pani peene ke bavjud vahi rahti hai. Aise mein unhen chahie ke wo 50 gram khushk amla mitti ke bartan mein dalkar Pani se Bhar dein. Aur jab unhen pyas Lage wo ye pani nikalkar sada piyein. Ye inthai mufeed nuskha hai.

Note:

Kushik Amla qabiz hota hai. Aur ziyada piyas lagna aur kay(قے) ane ke liye is phal ka choosna hi darusat hota hai.

Summary:

Insan ki zindgi ke buhat sare masail ke hal Allah ne is phal mein rakhein hein. Jo Amla benefits ya Amla Ke Fayde ki ahmiyat ko barha deta hai. wo Chahye masail balon ke ya amraz e chashim(امراض چشم) ke hon ya phir insan ki aur jismani bimarain ke.

(Visited 285 times, 1 visits today)
“Share your knowledge. It is a way to achieve immortality.”