Amrud Ke Fayde | 10 Amazing Guava Benefits in Urdu

Amrud Ke Fayde, guava benefits, Health Benefits of Guava,
Amrud Ke Fayde


Ye phal gazayi(غذائی) lihaz se behad sasta aur vitamins se bharpur hai. Jis ki waja se Amrud Ke Fayde barh jate hain. Is phal mein maujud bijon ke bare mein jadeed tareen tahqeeq ke mutabik maloom hua hai ke in mein folad iron ki khasi makdar Pai jaati hai.

Jo ke isani jism ke liye zaruri hai. Iske ilawa is mein vitamin A, farsforce aur sodium carbonate bhi paye jaate hain.

Amrud Ke Khawas(خواص):

Amrud Ke Fayde Janene se pahle aye amrood ke khawas jante hein. Baaz mahreen amrood ka mizaj garm tar aur baaz Mahrine sard tar bayan karte hain. Lekin aksriyat iske mautdil mizaj hone ke qail hein. Atba ke nazdeek kacche amrud ka mizaj sard tar hota hai aur pakke hue amrood ka mizaj garm tar hota hai. Maida ise 3 se 4 ghante mein hazm kar leta hai.

Amrud muqavi, mafrah aur umdaa phal hai. Iska istemal hamesha khane ke bad hi mufeeda asrat ka hamel hota hai.

Baaz hukuma ise moatdil karar de kar ise kabz kusha bhi kahate Hain. Inke nazdeek is phal ko khate waqt iska sakhat chilka aur ismein maujud bejion ko alaihda kar dena chahie. Kyunki yae hisse behad sakeel aur der hazem hote hain.

Agar ise namak aur kali marech lagakar khaya jaaye to ye jaldi hazem ho jata hai.

Is phal ki ek hairat engaiz khubi ye bhi hai keh ye khud to hazam nahin hai. Magar ye hazme ko durust karne ki ahliyat rakhta hai.

Mausam barsat mein marod khana kisi had tak manasib hai. Magar iski ziyadti maede mein fasid maade ki ziyadti aur qolanj(قولنج) ke marz ka bayes banti hai.

Mahreen is phal mein paye jaane wale jin ajza ki nishandehi ki hai. Un per ek nazar dalne se maloom ho jata hai ke kudrat ne is phal mein kai khubiyan muzmer kar rakhi hain.

Amrud khane se dil o dimag ko taqweyat milti hai. Aur aasab mein mazbooti aur ajzaye raisiya ki umda aslah(اصلاح) hoti hai. Aye ab Amrud Ke Fayde tafseel se jante hein

10 Amrud Ke Fayde

Ayein ab is ke kuch mazeed tafseeli Amrud Ke Fayde per nazar dalte hein.

Kanch(کانچ) Niklne Ke Liye:

Jisko kanch niklne ka aarza ho uski kanch per iski jad ki chhal (چھال) ka ya tamam jar ka garha kia howa joshanda laip kerna chahye.

Khafkan(خفقان) Ke Liye:

Ye phal chunke muqavi aur mufra hai. Is liye iska istemal khafkan aur dil ki harkat ki teezi ki surat mein karna mufeed sabit hota hai.

Kabz ke liye:

Ye phal kabz kusha hone ki vajah se iska istemal gas aur tabkheer ki bimariyon mein main nafa bhakhsh hia.

Bavasir Ke Liye:

Amrud mein vitamin A ki kafi maqdar payi jaati hai. Is liye iska khana khooni bawaseer ke mareezon ke liye piyam e shafa hai.

Nakseer Ke Liye:

Amrud nakseer ki taklif ko dur karta hai aur khoon ka qawam(قوام) agar patla ho gaya ho to iski garmi ko door kar ke ise eidaal par lata.

Quwat e Hazma ke Liye:

Jab hum Amrud Ke Fayde ki baat ker rehe hon to sab se aham fayda hia quwat e hazma ka. Quwat e hazma ke liye rozana 5 adad paake or taaza amrud kaat ker fashon(فاشوں) ki soorat mein bana lein.

In per namak or kali marich chirker ker khana bhook ki kami ko door kerta hia. Ap is nuskhe ke bad peit bhar ker khana khane. Aur sahi maano mein hazam kerne ki salahiyat khud mein paein ge.

Munh Ke Chhalon (منہ کے چھالوں)Ke Liye:

Hum amrood khane ke fayde jan rehe hein to jan lein ke amrud munh ke chhalon aur sujan ke liye bhi mofeed hai. fida hai iske liye sab atole se 100 tak amrud ke patte in 1 litre Pani mein khoob Josh de jab jaaye ek tu Hi rah jaaye is se munh aur Gale Ke Ghar arey Karen do teen bar aisa karne se munh ki sujan dur ho jaati hai aur munh ki badbu se bhi na jaat milati hai.

Karm Shikem Ke Liye:

Amrud mein khas khubi ye bhi pai jaati hai. Keh yah peit ke kidon ko marne ki hairat engaiz salahiyat rakhta hai. Khas tour per is ke bij kaddu danon(کدودانوں) ke liye mufeed hain.

Aanton Ki Taklif Ke Liye:

Agar aapke maide aur aanton mein kharabi paida ho gai hai. Khana khane ke bad ek bhuj sa tabiyat per maujud rahata hai. To aap eik 2 din tak hi sirf taaza aur naram amrud roz subah nihar munh khaye. Is se aapka Maida puri tarh darust hoga. Aur aanto ki safai ho jayegi.

Matli(متلی) ki Shikayat Ke Liye:

agar kisi waqt aapka dil matli kar raha ho aur tabiyat per girani ka ehsaas ho, ghabrahat aur bechaini bade. To amrud ko khayen Nahin. Balke isase bar bar sange. Is se aapko Chand minto mein Sakoon hasil hoga aur matli ki shikayat rafa ho jayegi.

Balgam Ki Zayadti Ke Liye:

Balgmi mizaj wale log agar amrud khana ke fayde janena chahte hein to jan le. Keh wo ise Kala jeera, Kala namak, kali mirch aur badi elaichi ke peise howe safoof ke sath istemal karen.

Is se unhen kai(کئی) fayde hasal ho sakte hain. Inki kabz bhi door hone ke alava inke seen per jama balgam bhi ukhad kar kharij ho jata hai.

Note:

Amrud ka istmal hamisha khane bad hi mufeed asrat ka hamil hota hai. Hukma ke nazdeek is phal ko khate waqat sika sakhat chilka aur ismein majood sakhat beijon ko alahda ker dena chahye. Kuinke ye hisse behad saqeel aur dair hazum hote hein. iski ziyadti maede mein fasid maade ki ziyadti aur qolanj(قولنج) ke marz ka bayes banti hai.

Summary:

Garz ye keh ye phal bhi un phalone mein shamil hia jo ke har dil aziz hein.Amrud Ke Fayde hi hein jo isko ye maqam dilwate hein. To is ka phal(پھل) ho, paate(پتے) hon ya iski jarein(جڑیں) sab hi isnsani sihat ke leye mofeed hein.

(Visited 144 times, 1 visits today)
“Share your knowledge. It is a way to achieve immortality.”