Angur khane Ke Fayde | 10 Amazing Benefits of Grapes in Urdu

Is post mein hum Angur khane Ke Fayde per baat kerien ge. Kuink Angur(انگور) na sirf buhat si bimarion ko door kerta hai balke dil, damag, maada aur gurdon ko taqwiyat bhi deta hai. Is mein Potassiam, Calsiam, aur Phasporas ki bari maqdar majood hai. Iske ilawa is mein Vitamin A, B, D bhi shamil hote hein. aye ab Angur khane Ke Fayde Janene se pahle angur ke khawas jante hein.

Angur Ke Khawas:

Angur khane Ke Fayde samjhne se pahle humein angur ke khawas jan lena zaroori hein. Takeh bawaqar e zaroorat iska istmal kerne mein asani ho sahi tareeke se istmal ker sakein . Jadeed Tahqeeq se ye baat sabit hai keh 1 cup surkh ya sabz angur jis ka wazen takreeban 15 gram hai us mein:

104 kilo calories payi jati hein
1.09 g protein majood hein
0.24 g fat bhi is mein hein
27.33 g of carbohydrate, of which 23.37 g is sugars ki maqdar is mein majood hai
1.4 g fiber ki maqadar hai
288 mg potassium is mein majood hein
15 milligrams (mg) calcium bhi paye jate hein
0.54 mg iron bhi paye jate hein
11 mg magnesium ki madar majood hai
30 mg phosphorus bhi shamil hein
3 mg sodium is mein payi jati hai
0.11 mg zinc bhi shamil hai
4.8 mg vitamin C bhi majood hein
22 micrograms (mcg) of vitamin K
3 mcg folate bhi is mein paye jate hein

Aye ab jante hein kuch mukhtser Angur khane Ke Fayde in khawas ki buniad per.

10 Amazing Benefits of Grapes for health | Angur khane Ke Fayde

Angur khane Ke Fayde, Benefits of Grapes in Urdu
Angur khane Ke Fayde

Aye pahle Angur khane Ke Fayde ka mukhtsir sa jaiza laite hein, phr hum inki tafseel jante hein.

  1. Angur piays ki shidat mein nafe hai.
  2. Khansi aur gala baith jane(گلا بیٹھ) mein.
  3. Daame(دمے) mein moffed hai.
  4. Khoon ke fasad ko rokta hai
  5. Yarqan ki shikayat ko door kerta hai.
  6. Angur antrion aur maade ki bimarion ko door kerta hai.
  7. Taza aur saaf khoon paida kerta hai.
  8. kamzoor jism ko farba kerta hai
  9. Angur ka rus Khanaq, Ankhon , kanon, Naak aur Gale ki bimarion mofeed hai.
  10. Ye damagi aur qalbi nasho nama ke liye buhat mofeed hai.

Aye ab hume Angur khane Ke Fayde ya health benefits of Eating Grapes ko details mein discus kerte hein. Aur bimarion ke liye inka tareeka a Istmal hai jante hein.

Khansi Ke Liye:

Angur ka rus 1 tola aur 1 tola shahid le ker mila lein. Is chand ghante para rehne dein, pher is se 1 chamch pe lein. Baqaida chand dino ke istmal se khansi ki shikayat door ho jaye gi. Akser Hukma isko shadeed khansi mein bhi istmal kerne ka mashwra dete hein.

Hamla Khawateen(حاملہ خواتین) Ke Liye:

Angur ka rus khawateen ke liye, khas toar per zamna e Haml ke doran istmal buhat hi mofeed hota hai. Is ager rozana apni khorak ka hisa bana lia jaye to Ghashi, Chaker, Aphara, Aur dard se khasa afaqa ho jaye ga. Aur matli(متلی) bhi nehi hoti.

Daami Qabz Ke Liye:

Angur ka rus 1/2 kilo mein aur Masabber(مسبر) 1 pao daal ker peene se daami qabz door ho jati hai. Yaad rakheye keh is ke baad pani peena bilkul bhi theik nehein hai. Kuinke pani peen se kaih(قے) a jaye gi.

Gale ke Warm(گلے کے ورم) Ke Liye:

Ager gale ke warm hon to pake howe angur ka rus le ker us ke garare kerne se gale warm door ho jate hein. Ye amal din mein 2 ya 3 bar kerein.

Maade Ke Liye:

Jin logon ka maade kharab rehta ho, Tabiyat bhojal rehe, Bar Bar khati dikarein ati hon ya gase ki shikayt ho. To wo angur ke mosam mein din mien 2 bar angur kha lein. Maade ke in amraz se nijaat hasil ho jaye gi.

Mun Ke Chalon Ke Liye:

Chote bachon ke mun mein ager chale ho jayein. Unko angur ka rus subah sham pilne se mun ke chale door ho jaein ge.

Jism Ki Badbu Ke liye:

Jism mein ager badbu rach jaye aur jane ka naam na le. To is nuskha ko azmaein. Arq e Angur 2 tola, Arq e Gulab 3 tola mein shamil ker ke achi tarah hal ker lein. Isko matwater 1 month jism pe malish kerein. Badbu ka kuli khatma ho jaye ga.

Tabkeer e Maada Ke Liye:

Angur ki taza kunplion ki chatni pees lein. Is mein 3 adad kali mirvh bhi shamil ker dein aur hasbe zaiqa namak bhi daal lein. Is chatni ko chand din istmal kerne se tabkeer e maada se nijaat hasil ho jaye gi. Aur khate dikar ana bhi band ho jaein ge.

Garmi Ke Sar Dard Ke Liye:

Garmi ke sar dard aur garmi se hone wale ashoob e chashim ke liye angur ke patte buhat fayda mand hein. In patton ko pani mein pees ker in ka laip kerne se marz door ho jata hai.

Marz e Safra(صفرا) Ke Liye:

Angur ki kunplion ka arq nikal ker inka sharbit bana li jiye. Ise ap safrawi bukhar, Khafqan aur matli ki halat mein istmal kerein. Nihayt hi mofeed hai.

Ganje Pan Ke Liye:

4 tola angur ka rus ya kishmish umda sabz le ker, 2 tola ailovera ka rus ker ise aag per kherl(کھرل) ker lein. Pani mein iska laip tayyar ker ke sar per rozana lagein. Thore hi arsa mein ganje pan khatim ho jaye ga. Aur naye baal ugna shoro ho jaein ge.

Khafkan Ke Liye:

Angur khane Ke Fayde mein se sab se ahm iska fayda khafqan ke marz ko door krna hai. Is ke liye 10 tola Arq Gulab mein 40 daane sabz kishmish ke daal ker. Ise kisi chaneni se dhanp ker sari raat baher kisi sihan mein rakh dein. Subah uth ker ye daane chaba ker kha lein. Aur baqi arq e gulab mein zara si cheeni ya misri daal ker pi lein. Chand roaz mein khafkan ki shikayat door ho jaye gi.

Note:

Khawas Aldawaya kitab mein likha hai keh, Angur ke beej riyah paida kerte hein. Jis se qabz ho jati hai. Ye Misane ko bhi naqsan punhchata hai. Is liye angur ka rus choos ker iska phok phaink dena chahye.

Summary:

Angur garmi ke mosam insano ke liye qudarat ka eik anmol tuhafa hai. Isi liye ap jitna bhi Angur khane Ke Fayde ya Benefits of Grapes pe likh lein kam hai. Abi mein waqat ki kami ke bayes ziyada nehin likh saka. Angur ke fayde bachon se le ker baron tak aur mard o khawateen sab ke liye sihat bakhsh hein.

(Visited 40 times, 1 visits today)
“Share your knowledge. It is a way to achieve immortality.”