Apple Khane Ke Fayde | 10 Amazing Apple Benefits in Urdu

Is article mein hum Apple Khane Ke Fayde per baat kerein ge. Kuinke apple(saib) sihat se bhere khazanon ki waja qadeem dour se hi insanon ki tawajo ka markiz raha hai. Bible mein bhi iska ziker milta hai.

Iske khush zaiqe aur dilkush rangat ki waja se tamam umer ke log ise behad pasand kerte hein.

Khawas(خواص):

Aye apple khane ke fayde per baat kerne se pahle saib ke khawas jante hein. Meetha saib pahle darje mein garm or dosre mein tar hai. Tursh pahle darje mein sard wa khushk hai.

Iska darakht 8 ya 10 meter oncha hota hai. Jo akser pahari aur thande alaqon mein khoob phalta hai.

Saib ke phal ka rang surkh, green aur peela(yellow) hota hai. Kacha phal khata ya pheeka hota hai. Aur pakne ke bad khush zaiqa aur meetha ho jata hai.

Pak o Hind ke kashmir aur hamachal pardaish ke saib dunia bher mein daramd kiye jate hein. Yhan surkh saib ki beintha qismein paida hoti hein.

Apple Khane Ke Fayde | 10 Amazing Apple Benefits

Jaisa keh hum pahle baat ker chuke hein keh apple ko sihat ki nashani gina jata hai. Isiliye pahle hum apple lhane ke fayde kia hein, eik mukhtsir jaiza lete hein. Phir hum kuch makhsoos bimarion ke hawale se apple khane ke fayde per bhi baat kerein ge..

Saib dil wa damag ko quwat bakhshta hai

Saib jiger aur maida ko bhi quwat deta hai.

Jisme ko farba kerta hai

Khoon paida kerta hai.

Sherein saib ko paka ker dukhti ankho per bandhne se dard foran theik ho jata hai.

Khusk khansi ko door kerta hai.

Rooh e hiwani ko latif kerta hai is mein farhat lata hai.

Zood hazim hai, Maada ko quwat deta hai.

Bicho ke zahar ko rafa kerta hai.

Sherein saib sodawi(سوداوی) aur waswas(وسواس) ko door kerta hai.

Apple Khane Ke Fayde
Apple Khane Ke Fayde

Be Khawabi(بےخوابی) Ke Liye:

Meete saib ka 3 chitank rus nikal lein. Is mein 3 mashe baihi dana kisi potli mein bandh ker latka dein. Ab ise khoob joosh dein

Iske bad thanda ker ke pi lein. Is se eik se daidh hafte tak ka istmal bekhawabi ko door ker deta hai. Aur pur skoon neind lata hai.

Ye dawa rozana raat ko khani chahye.

Jiger Ki Taqwiyat Ke Liye:

Kuch logon ka kam baithe rehne ka hota hai. Is se jiger mein kafi susti or kharbi paida ho jati hai. Jis se jismani aur zihni salahiytein zang alood ho jati hein.

Is ke sath sath jism mein kamzorian numain hone lagti hein. Is ke liye eik bara saib le ker kashein kat ker raat ke waqat chand ki chandni mein rakh dein. Subah utha ker inhein kha lein. Eik month ke istmal ke bad ap khud mein wazeh fariq mahsoos kerein ge.

Ashoob e Chashim(آشوب چشم) Ke Liye:

Eik tola saib ka areq(عرق) nikal lein. Ise achi tarah malmal ke kapre mein chan lein. Zara sa bhi is mein nehein rahna chahye.

Is ke bad is mein 4 rati phatkri baryan(پھٹکری بریاں) mila dein. Is mehlool ko achi tarah milaein aur kisi jarasim se pak sheeshi mein dal lein.

Raat ko sote waqat kisi saf suthre droper se 2 ya 3 qatre ankh mein dal lein. For toar per ye dawa chubhe gi. Is ki parwa na kijiye. Kuinke ye dawa ashoobe chashim ke liye eik aala darje ki dawa hai. Fori aser bakhshti hai.

Quwat e Hazma Ke Liye:

Ager apki bhook mar gayi hai. Aur maada mein hazme ki taqat kam ho chuki hai to is nuskhe ko azmaye.

Nuskha:

Eik tursh saib ka rus nikal lein, Is se aata ghondhwaein(آٹا گوندھوائین). Is aate ki roti chand din khaein. Bhook mein is qadar azafa ho ga keh ap bewaqat khana shoro ker dein ge.

Taqweeyat Maada Ke Liye:

Tazza saib ke rus mein sia mirch, Zeera aur namak k safoof chirk ker peene se bhook mein azafa hota hai. Aur maade ko taqweeyat milti hai.

Choone(چونے) Ki Ziyadti Ke Liye:

Eik saib rozana khane se ap ki sihat ko taqweeyat milti hai. Jism mein calciam ki maqadar bhare gi. Fazal(فاضل) choona pikhane ke raste kharij ho jaye ga.

Chihre ki Ronaq wa Husan(رونق و حسن) Ke Liye:

Apple Khane Ke Fayde per hum baat ker rehe hein to sab ahim aur jis ki waja saib sab se ziayda khaya jata hai. Wo yeh keh Saib saleh khoon paida kerta hai. Chihre ki jild ke liye is bihter koi dawa ya shay(شے) nhi hai. Arzi meakup sirf thori dair ke liye chihre ko husan bakhshta hai. Mager ye qudrti husan ka naimul badal nehi ho sakta.

Dil wa Damag Ki Taqweeyat Ke Liye:

Eik kilo saib lein ye mote aur be aib(بے عیب) hone chahyein۔ Inhein kaat ker in ke beij nikal lein aur cheel ker dho lein. Pher kante se ghoadh(گود) lein aur pahle se tayyar namkeen pani mein dalte jaein. Ta keh hawa lagne se inka rang na kharab ho.

Ab 1 kilo cheele howe saibon ke liye 1 kilo cheeni mein 4 chitank pani dal ker aag per chirha dein. Aqwam tayyar hone per is mein saib ki qashein daal dein aur 20 mint tak pakaein.

Iske bad inhein raat bher para rehne dein. Agle roaz phir pakaein. Jab ghara ho jaye to otaar lein. Chandi ke worq laga ker hasib zaroorat istmal kerein. Ye saib ka maraba maqawi dil aur maqawi damag hai.

Note:

Sherein Saib mein ratobat fazlia hai. Is liye balgmi khilt(بلغمی خلط) aur riyah paida(گیس پیدا) kerta hai aur pait philata hai.. Saib ka sharbat ya saib ka maraba khane se is ki islah ho jati hai.

Summary:

Wah kia hi Aala phal hai. Saib bhi phalon ki us family mein shareek jo phal har umer ke afrad ko pasand hein. Jis ki waja bhi Apple Khane Ke Fayde ya apple benefits hein. Jo na sirf buhat si bimarion se bachate hein. Balke mazeed jism ko aur is ke mukhtlif aza ko taqweeyat bakhshte hein. So saib khaye aur sihat mand zindgi guzariye.

(Visited 140 times, 1 visits today)
“Share your knowledge. It is a way to achieve immortality.”