Is post mein Khajur Khane Ke Fayde ya benefits of dates per baat ho gi. Jadeed science se sabit hai keh khajoor eik munfrid aur makaml gaza hai. Jis mein tamam zarori aur gazayi ajza waafer maqdar mein paye jate hein. Ye bhi apne umda zaiqe ki waja se her umar ke afrad ko behad pasand hai.
Khajoor Ke Khawas Aur Ahmiyat(خواص اور اہمیت):
Khajoor ka darakhat dunia ke akser mazahib mein maqdas mana jata hai. Hazrat Muhammad Mustfa(PBUH) ne Irshad farmaya hai keh jis gher mein khajoor na ho. Wo gher aisa hai jaise wahan khane ko kuch nahein hai. Jo keh ye baat jadeed science ne bhi sabit ker di hai keh ye eik makaml gaza hai.
Khajoor mizaj ke eitbar se ye garm wa tar hai. Is mein barsat mein paida hone wali susti wa naqahit ko door kerne ki silahiyat payi jati hai. Ye sabhi phalon se maqawi wa majarb hai. Khajoor pakistan samait dunia ke matadad mulkon mein paya jata hai. Khas ker saudi Arab, Iraq, Iran, Italy, Spain aur Misr jaise mulkon mein kasrat se paya jata hai.
Khajoor ke 100 gm phal mein taqreeban 315 Calories shamil hoti hein. Isi tarh is mein 15% Pani, 2.5% Protein, 0.5% Fats, 76% CHO aur 4% Fiber paye jate hein. Is ke ilawa is mein Calcium ki 120 mili gram Phosphorus 50 mili gram, 7.5 mili gram, Vitamin C 3 mili gram aur Vitamin B ki maqdar bhi shamil hai. Aye ab Khajur Khane Ke Fayde per kuch tafseeli nazar dalte hein.
Khajur Khane Ke Fayde | Amazing Benefits of Dates in Urdu
Aye ab Khajur Khane Ke Fayde per eik tafseeli nazar dalte hein. Khajoor na sir Mardoon aur Aurtoon mein yaksan toar per mofeed hai. Balke ye bachon ki nasho nama mein bhi buhat mofeed hai. Aye ab in faydon ka kuch tafseel se jaiza lete hein keh kis tarah sab ke liye khajoor mein fayde majood hein.
Khoon Ki Kami Ke Liye:
Jin Logon ko khoon kami aur kamzoori ki shikayat hai. Wo 5 mote choharay(چھوہارے) le ker 1/2 litter dhoodh mein daal ker khoob pakaein. Jab choharay narm ho jaein to otar ker neem garm kha lein aur dhoodh bhi pi lein. Eik 2 hafton mein unhein taazgi aur quwat mehsoos ho gi.
Kasrat Haiz(حیض) Ke Liye:
Khajur Khane Ke Fayde mein se hairat angaiz fayda ye hei. Keh jin Khawateen ko kasrat se khoon ata ho, Wo taza khajoor gaza mein shamil ker ke is se nijat hasil ker sakti hein. Ye marz gadodon ki kharabi, jhalion ki sozash, gazayi kami aur khoon mein folad ki kami se paida hoti hai. Khajoor in sab soorton mein lajawab Ilaj hai.
Tabkheer e Maida Ke Liye:
Gas aur Tabkheer Maida mein mubtla log hasib bardasht 3 se 7 choharay thore se pani mein daal ker raat bher khuli jagah per rakh dein. Subah Uth ker inhein kha lein aur inka pani bhi baad mein pi lein. Is ke baad halka phulka nashta kerein. Inke maide ki islah ho jaye gi.
Asabi Kamzori Ke Liye:
Sardi ke mosam mein kuch log behad sardi mehsoos kerte hein. Asab kamzor ho jate hein. Aise mein 1 pao dhoodh mein 3 se 5 choharay aur thore se chalgoze koote howe dalein. Aur ab isko josh de ker inhein pi lein. Chand din mein ye shakayat door ho jaye gi.
Natawan(ناتواں) Bachoon Ke Liye:
Jo bache kamzor hon aur mote hone ki khawahish rakhein. Wo taza khajoor ke 5 daane kha ker taza aur neem garm dhoodh pi lia kerein. Chand hi dino mein ye shikayat door ho jaye gi.
Bachon ke kano ki sihat ke hawale se janeye is post mein Ear Infection Symptoms In A Baby
Daimi(داعمی) Kabz Ke Liye:
Is marz ki shikayat rakhne wale afrad ke liye ye nuskha hai. Keh wo subah nashte ke toar per 3 se 11 daane khajoor kha ker pani ya chai pi lia jaye. is se unki Qabz rafa ho jaye gi.
Summary:
Sare hi phal Qudrat ka anmol tuhfa hein leken khajoor ko khas ahmiyat hasil hai. Is ki waja saaf zaher hai keh wo Khajur Khane Ke Fayde hein. Jo khajoor ko 1 makamal gaza banate hein. Is tarha khajoor na sirf insani jism mein majood kharbion ko door kerti hai. Balke jism ko mazeed tawana or chust rakhne mein maded deti hai.
Note:
Khajoor kabi ankhon ki sozash mein nehein khani chahye. Aur kisi bhi bimari se uthne ke baad bhi ziyada maqdar mein na khayi jaye.