Anjeer Khane Ke Fayde | 15 Amazing Benefits of Fig in Urdu

Is post mein hum Anjeer Khane Ke Fayde ya Benefits of Fig per baat kerein ge. Anjeer ka shumar lazeez or sherein phalon mein hota hai. Hukma(حکماء) aur atba(اطباء) ise bihtreen meva(میوہ) aur dawa bhi qarar dete hein. Anjeer ko jannat ka meva bhi kahte hein. Yaqeenan anjeer ke fayde be baha hein. Is ko nihar mun khane ke buhat se fayde hein. Jaise gaza(غذا) ke raste khole deta hai.

Anjeer Ke Khawas:

Aye Anjeer Khane Ke Fayde janene se pehle anjeer ke khawas jante hein. Anjeer ki do qismein hein. Eik ko anjeer kalan or dosri ko anjeer khord kaha jata hai. Tahim anjeer kalan ziyada bihtreen or moaser(موثر) khail ki jati hai. Goalar ke phool(گولر کے پھول) ki tarah is mein bareek aur chote chote se dane hote hein.

Waise to iska apna asel watan Shaam aur Phalsteen. Leken ab iski kashet Afganistan, Itly, Yonan aur dunia ke deeger momalik mein ki ja rehi hai. Is ke darakhat per saal mein 2 dafa phal aata hai. Zaiqe mein ye phal qadre tarawat(تراوٹ) wala hota hai. Khusik ke muqable mein taza aur umda anjeer ziyada fayda mand hai.

Benefits of Fig, Anjeer Ke Fayde, Benefits of Fig in Urdu
Anjeer Khane Ke Fayde

Anjeer Khane Ke Fayde | 15 Amazing Benefits of Fig:

Anjeer Khane Ke Fayde buhat ziyada hein, jis ki wajah is ke khawas aur zaiqa hein, Isi waja se Atba aur Hukma tib mein Anjeer ko khas ahmiyat dete hein. Aye ab Anjeer Khane Ke Fayde per kuch mukhtsar si nazar dalte hein.

  1. Ikhraj e balgam(اخراج بلغم) ke liye khansi mein iska joshanda buhat mofeed hai.
  2. Anton(آنتوں) ki khushki door kerne ke liye iska sharbet istmal kerte hein.
  3. Ye phal qabz kusha hai. Balke azafi charbi ki maqdar ko bhi kam karta hai.
  4. Anjeer bawaseer ke liye bhi moaser hai.
  5. Anjeer qowat hazma ko bhi barahta hai.
  6. Is mein taza khoon paida kerne ki silahiyat bhi hai.
  7. Kuinke ye nia khoon paida kerta hai. jis se chihre ka husan nikhrta hai, jild se dag dhabhe door hote hein.
  8. Gale(گلے) ki kharash or khushik khansi ke jeraseemon(جراثیموں) ko jar se khatim kerta hai.
  9. Anjeer jism ko farba kerta hai. Is ke masalsal istmal se wazan barh jata hai.
  10. Agar bachon ko mosam e sarma mein khilaya jaye to unki nashonama mein teezi ati hai.
  11. Dast awer hai, aur jiger ko quwat deta hai.
  12. Mirgi(مرگی), falej(فالج), khafqan(خفقان)، dama(دمہ) aur akser balgmi amraz ko nafa punhchata hai.
  13. Agar amraz ki waja se rang fasid ho jaye to iske khane se drusat ho jaye ga.
  14. Pishab agar qatra qatra ata ho ya tangi se ata ho dono ko nafa deta hai.
  15. Anjeer hararet or piyas ko taskeen deta hai.

Islah(اصلاح) Jiger Ke Liye:

Anjeer jiger ki islah kerne mein bhi bihtreen taswar kia jata hai. Liver Cirrhosis Yani inhtate kabdi(انحطاط کبدی) mein jiger teezi e sukrta chala jata hai. Ya is mein resha dar sakhtein(ریشہ دار ساختیں) paida honi shoro ho jati hein. To kuch arsa nihar mun anjeer khane se is marz se nijat mil jati hai.

Pathri Ke Liye:

Pitta ki sozash(پتہ کی سوزش) aur pathri mein koi aur phal Anjeer ka muqabala nahi ker sakta. qadeem zamane ke tabibon mein Ibne Albitar aur Akbar Arzani ne pitte ki pathri ke liye Anjeer tajveez ki hai. Ye khoon ki nalion or pitte ke sude(سدے) nikalta hai. Balke gurdon ko saaf ker ke reeg masana bhi kharij ker deta hai.

Kamer Dard(کمر درد) Ke Liye:

Anjeer Khane Ke Fayde mein se sab se aham fayda ye hai keh jin afrad ki kamer mein dard rehta ho. Wo bhi anjeer ke rozana ke 3 dane zaroor khaya kerein. Is se unhein be had taqwiyat mile gi. Aur dard ki shikayat door ho jaye gi.

Jildi Amraz Ke Liye:

Anjeer mein majood namyati turshe(نامیاتی ترشے) jeraseem se pak hone ke sath sath Antibacterial khasoosiyat ke hamel hote hein. Yehi waja hai ki jildi amraz mein Anjeer ka istmal be had mofeed samja jata hai. Phore phinsion mein Anjeer ka sharbit fayda mand sabit hota hai. Chichek aur moti mein Anjeer, moviz mannaqa(مویز منقی) aur khoob kalan(خوب کلاں) ka joshanda pilane se dane asani se nikl ate hein. kaslmandi(کسلمندی) door ho jati hai. Aur marz ka zoar toot jata hai.

Hepatitis Ke Liye:

Anjeer ka eik aur fayda mand pahlo eik mozi marz mein maqavi hona paya gia hai. Jise urf aam mein Hepatitis bhi kaha jata hai. Manaqa(منقی), Anjeer(انجیر) aur shaihid(شہد) ka markab is ke liye bihtreen aur taqatwar tonic hai. Jo ke insani jism ke asabi(اعصابی) nizam ke elava Maada(معدا) va Jiger(جگر), anton(آنتوں) aur gurdon ko bihtreen dafai nizam frahim karta hai.

Barhape mein jab maade ki sakhtein kamzor par jati hein. Aur jism mein Uric Acid ki ziyadti paida ho jati hai. To mein aise mein Anjeer ka istmal Uric Acid ke bahao ke liye mofeed samjha jata hai.

Zahreeli Alodgi(زہریلی آلودگی) Ke Liye:

Aj kal ke doar mein kisafit(کثافت) har janib behad barh chuki hai. Zahreeli gason, kisafit aur deeger teez adviyat ke baes(باعث) jism per manfi asrat buri tarah se hamla awer ho rehe hein. In bad asraat se bachne ke liye. Agar rozana 4 ya 5 dane Anjeer humrah pisi hoi kalwanji(کلونجی) ke khane se insan in zahreeli wabaon se mehfooz rah sakta hai.

Damag Ki Kamzori Ke Liye:

Khushik khansi, balgmi khansi , chote bare joron ke dard mein Anjeer ka istmal mofeed hai. Sardi mein ager badan susat ho jaye. To is ka khana jism ko manasib hararit e azizi frahim kerta hai. Isi tarah jo log damagi kamzori ke shaki hon. Wo iska nashata kerein. Is ke bad 7 badam, 1 akhroat ki giri, 1 choti ilaichi ke nikle howe dane le ker inhein sardayi ki tarah pies lein. Aur is mein pani aur cheeni mila ker pi lia kerein. Is se hafza teez ho ga. Anjeer deedh(ڈیڑھ) se 2 ghante mein hazim ho jati hai.

Kabz Ke Liye:

Qabz ke marz mein Anjeer behad sood mand hai. Jin logon ko is marz ki shikayat laheq ho. Wo bath room mein ja ker bath jate hon aur ajabet na hoti ho. Adwiyat khane ke bawajood aram na ata ho.

Unko chahye ke wo pabandi se anjeer istmal kia kerein. Is amel se unki babz rafta rafta khatim ho jaye gi. Aur tabiyat mein itminan ho ga. Apni tabyiat aor mizaj ke matabik wo 5 se 6 dane rozana istmal ker sakte hein.

Note:

Kali aur sokhi anjeer aam oqat(عام اوقات) mein mat khein. Baz waqat torte howe anjeer mein safaid keere bhi dhikhyi dete hein. Aisi anjeer bhi na khaein. Kuinke ye faida mand hone ki bijaye naqsan deti hai.

Summary:

Anjeer Allah Tala wo khas tuhafa hai insaniyat ke leye. Ke jiska jiska jitna shuker ada ker lein kam hai. Yani Anjeer Khane Ke Fayde | Benefits of Fig apke jism mein hone wali taqreeban har pacheeda bimari ka ilaj hai. wo chahe jiger, maade, gurde, misane, bawaseer wa kabz se leker aj ke pacheeda zahreele madon ki body infect hoti ho.

(Visited 152 times, 1 visits today)
“Share your knowledge. It is a way to achieve immortality.”