Is post mein hum Anxiety Treatment ya dil ki ghabrahat aur bechaini ka ilaj ke matalaq janein ge. Dil ki Ghabrahat aur Bechaini eik aam si halat aur jazba hai. Leken ye halat apko buhat zaroori kaamo ke kerne mein khalel paida ker Sakta hai. Jaisa keh kisi gathring wali jagah jane mein, kisi imthan mein, kisi interview mein ya wo lamha jo apke liye khas hai.
Anxiety Ya Dil Ki Ghabrahat Aur Bechaini Ki Ilamaat:
- Ghabrahat ya bechaini ya tanao mehsoos kerna.
- Kisi ane wale khatre ka ihsas hona ya azab ka ehsas hona.
- Dil ki dharkan ka taiz hona.
- Taizi se sans lena.
- Kanpna aur paseena ana.
- Kamzori ya thakawat mehsoos kerna.
- Sone(سونے) mein pareshani.
- Maide Ke masail ka paida ho jana.
- Kisi bhi pareshani per qabo pane mein dushwari hona.
- Jin cheezon se bechaini hoti hai un se door rhne ki khawahish ka paida hona.
Anxiety Treatment | Dil Ki Ghabrahat Aur Bechaini Ka Ilaj
Dil ki ghabrahat aur bechaini ya Anxiety ka ba asani mukhtlif tareeqon se kia ja sakta hai. Kuinke ye bimari ya ihsas beshak itna bara nehien hai. Jitna iske hone se zindgi ke zarori mukhtlif mamolat disturb ho jate hein. Is leye jab mazkora bala alamaat mehsoos hon to in steps ko ap apna ker is se chutkara hasil ker sakte hein.
Zindagi Mein Nazmo Zabat Lane Se:
Sab se pahle to un reasons ko door ki jiye, jin ki waja se ye halat ya bimari hum mein paida hota hai. Yani hamra bewaqat khana jaise keh subha ka nashta waqat pe na kerna aur isitarah raat ka khana dair se khana. Isi tarah bewaqat sona, kabhi late sona or late uthna, late sona aur jaldi uth jana jis se neind ka pora na hona.
Asal mein zingagi mein yehi beqaidagi hi Anxiety ya dil ki ghabragat aur bechani ki waja banti hai, jis ki waja se Anxiety Treatment kerwana parta hai. To humein apni zindagi mein nazmo zabat lane ki zaroorat hai. Wakat per khana aur waqat per sona hamari zindagi mein musbat tabdilia laye ga. Aur isi tarah hamari zaindagi ke dosre mamlat ko discipline mein lakar hum is bimari ya is jazbe se nijat hasil ker sakte hein.
Warzish(Exercise) Ke Zriye:
Anxiety Treatment ke liye jismani warzish ko apni zindagi ka hissa banaein, Ye apki zindagi buhat si asania laye gi. Zarori nehein keh ap warzish kisi park mein hi ja ker kerein, ap exercise apne kamre mein bhi ker sakte hein. Bus warzish ko apni routeen banaye, hafte mein kam ez kam 5 din zaroor warzish kerein. Aur apni zindagi se Anxiety, depression, dil ghabrane aur bechani ko door ker dein.
Ager ap ye sab iqdamaat nehien kerte to na sirf ye bimarian bharein gi. Balke inke sath sath yadasht mein kami ka marz bhi lahiq ho sakta hai.
Apne Jazbat Ko Khas Logon Se Share Kerne Se | Ventilation Of Emotions:
Aj Ke is masroof aur samagi dorion ke doar mein insan majboor ho gia hai. Keh wo apne jazbat aur dil ke dil mein hi dabane laga hai. Jis ka nateeja bimarion ki shakel mein nikle rha hai. Jin mein se eik depression, Anxeity ya dil ka bhabrana aur bechani hai.
Anxiety Treatment ka hal ye hai keh ap apne circle mein 3 se 4 log aise rakhein jin se ap apne dil ki baat, jazabat ya raaz share ker sakein. Wo chahye apke apne gher ke log hon ya reshte daar ya apke dost hn. Jaise hi ap ye sab amal kerein ge, ap dekhein keh ap is bimari se bari had tak nijat hasil ker lein ge.
Garma Phal Ke Zariye:
Kuinke is marz mein dil zor zor se dharkta hai. Aur seena phatta(پھٹتا) howa mehsoos hota hai. Baat Baat pe dil ki dharknein beqabo ho jati hein. Aise mareez ko garma ka ziyada istmal karana is ke liye mofeed sabit hota hai. Eik month masalsal istmal se ye marz khatm ho jata hai. Is marz mein garma kali mirch aur namak ke bagair istmal kerna chahye.
Garma ke phal mein Jiger, gurdon, Maide, Yarqan, aur Dil ki kharabion ko door kerne ki salahiyat hai. Mazeed janiye Cantaloupe Benefits
Amrud Phal Ke Zariye:
Ye phal chunke muqavi aur mufra hai. Is liye iska istemal kafqan aur dil ki harkat ki teezi ki surat mein karna mufeed sabit hota hai. Jis se dil ghabrahat aur bechaini ya Anxiety Treatment ko kam kerne mein maded milti hai.
Amrud eik inthayi mofeed phal hai. Amrude ke hairat angaiz fayde janiye
Amla Phal Ke Zariye:
Amle ka murabba jisse urf Aam mein Anole(انولے) ka murabba bhi kaha jata hai. Ise dho kare chandi ke vark mein lapet kar subah naharmau khana is marz mein mufeed hota hai. Is se kalb ko taqwiyat milti hai jis se Anxiety Treatment amal mein ata hai. Iske alawa ye murabba khafqan, dimagi kamzori aur maade ke afaal ko theek karta hai . Ye Dil ki dhadkan ko eitdal(اعتدال) per lata hai.
Disclaimer:
This post cannot and does not contain medical/health advice. The medical/health information is provided for general information and educational purpose only and is not a substitute for professional advice. Accordingly, before taking any action based upon such information, We encourage you to consult with the appropriate professionals. We cannot provide any medical/health advice. THE USE OR RELIANCE OF ANY INFORMATION CONTAINED ON THE POST IS SOLELY AT YOUR OWN RISK.
Summary:
Anxiety Treatment ya Dil Ki Ghabrahat Aur Bechaini Ka Ilaj kerna koi ziyda mushkil nehein hai. Bus thori tawaja apni roz marra ki zindagi ko dene ki zarorat hai. Apni zindagi mein nazmo zabat lein, Excercise ko zindagi ka hissa banaein, Dost banein aur un se apne dil ki batein share kerein aur apni zindagi mein moaka ke lihaz se phalon ka istmal kerien. Aur zindagi ka lutaf uthaein.